Monday, January 31, 2011

"Yeh main nahi kehta, Sant kehta hai"



This meeting wasn’t a co-incidence neither did I click the picture just for sake of photography. It might be our first meeting but I did see him as a stranger neither did he, may be at this phase of life no one remains a relative or a stranger, and this feeling flow from the source to the person encountered.

This is something more than just a picture or person for me. May be it’s a journey we will at some stage of life are intend to take.

Main ettehfaaq mein yaqeen nahi rakhti, zindagi mein har koi kisi na kisi udeshya se kisi se milta hai aur bichadta hai. Yeh tasweer mere usi yaqeen ko pukhta karti hai. Main sach mein ik sadhu baba ki tasweer lena chahti thi, aur kai mauke aaye bhi lekin le naa pai, aur achanak yeh baba mil gaye jab main lau ke apni gaadi mein bathne jaane lagi, aur yaqeen to tab nahi hua jab inhon ne mujhe dekhte hi kaha “khush raho beta, main aaj subah hi Dehra dun jaa raha tha ,magar jaane kyun ruk gaya, shayad tum se milna tha mujhe, meri ik tasweer nahi logi” main aawaak reh gayi … camera bhi mere haath mein nahi tha tab, bhai ke paas tha, so yeh bhi nahi keh sakti ki unh one camera dekh k yeh baat kahi… tasweer lene ke baad kaha unhon ne khush raho au humesha rahogii … mera yaqeen na karma main ghalat bhi ho sakta hun ,, magar sant nahi… tumse milna tha.. yeh main nahi kehta sant kehta hai …kehte hue wo chale gaye…

No comments:

Post a Comment